collection of poetry literature that evokes a concentrated imaginative awareness of experience or a specific emotional response through language chosen and arranged for its meaning, sound, and rhythm.
Thursday, 18 March 2021
Qurbaton main bhi judai ... (Ahmed Fraz)
Game-hyat ka.. (Ahmed Fraz)
Chale bhi aao ke duniya se ja raha ha koi
Ajal se keh do ke ruk jae do garhi
Suna ha aane ka wada nibha raha ha koi
Wo iss naaz se bethay hain laash ke pass
Jiasay roothay hue ko mana raha hai koi
Palat kar na a jae phir saana nabzon main Faraz
Itnay haseen hathon se mayyat saja raha hai koi
Wednesday, 17 March 2021
ishq katil (Dr. Allama Muhammad Iqbal)
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Maangay Ga
Sajda Khaliq Ko Bhi Iblees Se Yaarana Bhi
Buray-banday-nu-main-laban-turya-(Bulleh-Shah)
jad main andar jhati payee te main to bura na koi
Rab rab karde budhe ho gaye - (Bulleh Shah)
Rab rab karde budhe ho gaye, Mulla Pandat saray,
Teri gaflaton ko khaber khan
Tu Jafa Ki Had Mein Na Aa Saka
Tuesday, 16 March 2021
Kia Janiye Woh Dil Se Utra Kyun Nahin Jata (Farhat Abbas Shah)
Gr shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata,
Hum ko nahin maloom ke ujrre huye dil se,
Awaara mizaaji ka assar kyun nahin jata,
Kya baat hai sarrkon pe utarti nahin raunak,
Kya baat hai iss sheher se ddar kyun nahin jata,
Sadiyon se tujhe takte huye soch raha hoon,
Jee tere hadh-o-haal se bhar kyun nahin jata,
Ankhon se udaasi ki ghattaaa kyun nahin chatt-ti,
Seene se mohabbat ka bhanwar kyun nahin jata,
Thehra hai jo qaafila-e-gham mere dil main,
Iss chotti si bastti se guzar kyun nahin jata,
Saanson se mere larzish -e-gham kyun nahin jaati,
Pairon se mere zakhm-e-safar kyun nahin jata..
udas shamain ujar rastay..(Farhat Abbasd)
Udas Shamain Ujar Raste Kabhi Bulain To Lout Aana,
Kisi Ki Aankhon Mein Rat Jagon K Azab Aain To Lout Aana,
Abhi Nahi Wadion Naye Manzron Mein Reh Lo,
Magar Meri Jan Ye Sare Aik Aik Kar K,
Jab Tum Ko Chor Jain To Lout Aana,
Jo Sham Dhalte Hi Apni Apni,
Pana Gahon Ko Loutte Hain,
Agr Wo Panchi Kabhi Koi Dastan Sunain To Lout Aana,
Naye Zamano Ka Qarb Orhe Zaeef Lamhe Nidhal Yadain,
Tumhare Khawabon K Band Kamron Mein,
Lout Aain to Lout Aana
Main Roz,
Youn Hi Hawa Pe Likh Likh K Us Ki Janib Ye Bhejta Hon,
K Ache Mosam Agar Paharon Pe Muskrain To Lout Aana,
Agar Andheron Mein Chor Kar Tum Ko Bhool Jain,
Tumhare Sathi Aur Apni Khatir Hi,
Apne Apne Diye Jalain To Lout Aana,
Meri Wo Batain Jin Pe To Hansta Tha Khil Khila Kar,
Bicharne Wale Meri Wo Batain,
Kabhi Rulain To Lout Aana...
Kary safar mein agar rasta badalna tha..(Mohsin Naqvi)
Kary safar mein agar rasta badalna tha
To ibteda mein mery sath hi nah chalna tha
Kuch is liy bhi to sooraj zameen pe utra hai
Pahareyon pe jami barf ko pighalna tha
Utar ke dil mein lahoo zehr kar gya akhir
Woh sanp jis ko meri aasteen mein palna tha
Yeh kya keh tohmaten atish fishan ke sar aaen
Zameen ko khud bhi khazana kabhi ugalna tha
Main laghzashon se atty raston pe chal nikla
Tujy ganwa ke mujy phir kahan sanbhalna tha
Ajab naseeb tha Muhsin keh baad marg mujy
Charagh ban ke khud apni lehd mein jalna tha
AB TERI YAAD SE WEHS.. (Mohsin Naqvi)
zaḳhm
khulte haiñ aziyyat nahīn hoti mujh ko
ab koī aa.e chalā jaa.e maiñ ḳhush
rahtā huuñ
ab kisī shaḳhs
kī aadat nahīñ hotī mujh ko
aisā badlā huuñ tire shahr kā paanī pī kar
jhuuT bolūñ to nadāmat nahīñ hotī mujh ko
hai amānat meñ ḳhayānat
so kisī kī ḳhātir
koī martā hai to hairat nahīñ hotī mujh ko
Dastan-e-Watan(Dr. Allama Muhammad Iqbal)
Teri Barbadiyon Ke Mashware Hain Asmanon Mein
Roz milnay pay bhi lagta tha kay (Ahmed Mushtaq)
Roz milnay pe bhi lagta tha ke Jug beet gaye,
dr. Allama Muhammad Iqbal- Nazm - 'Zindagi'
Bartar Az Andesha’ay Sood-O-Ziyan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabhi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi
Tu Isse Pemana’ay Amroz-O-Farda Se Na Naap
Javidan, Peham Dawan, Har Dam Jawan Hai Zindagi
Apni Dunya Ap Paida Kar Agar Zindon Mein Hai
Sirr-E-Adam Hai, Zameer-E-Kun Fikan Hai Zindagi
Zindagani Ki Haqiqat Kohkan Ke Dil Se Pooch
Jooye Sheer-O-Teesha-O-Sang-E-Garan Hai Zindagi
Bandagi Mein Ghat Ke Reh Jati Hai Ek Jooay Kam Aab
Aur Azadi Mein Beher-E-Bekaran Hai Zindagi
Ashkara Hai Ye Apni Quwwat-E-Taskheer Se
Gharche Ek Mitti Ke Paikar Mein Nihan Hai Zindagi
Qulzam-E-Hasti Se Tu Ubhra Hai Manind-E-Habab
Iss Ziyan Khane Mein Tera Imtihan Hai Zindagi
Hum jugnu they
Ham jugnoo thay, ham taray thay,
ham rang barangay panchhi thay,
kuch maah-o-saal ki jannat mein,
'Maan' ham dono bhi saanjhi thay,
mein choti si ik bachi thi,
teri ungli thaam k chalti thi,
tu door nazar se hoti thi,
mein aansu aansu roti thi,
ik khawbon ka roshan basta,
tu roz mujhe pehnati thi,
jab darti thi mein raton ko,
tu apnay sath sulati thi,
Maan! tu nay kitnay barson tak,
is phool ko seeencha hathon se,
jeevan k ghehray bhaidon ko,
mein samjhi teri baton se,
Mein teray haath k takiye per,
Ab bhi raat ko sota hun.
Meri Raat Din Mein Chupi Hoi
Meri Raat Din Me Chupi Chupi
ek pahar aur gilehri
Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri Se
Tujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray
Zara Si Cheez Hai, Iss Pe Garoor, Kya Kehna
Ye Aqal Aur Ye Samajh, Ye Shaur, Kya Kehna!
Khuda Ki Shan Hai Na-Cheez, Cheez Ban Baithen
Jo Be-Shaur Hon, Yun Ba-Tameez Ban Baithen
Teri Bisat Hai Kya Meri Shan Ke Aagay
Zameen Hai Passt Meri Aan Baan Ke Aagay
Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Vo Naseeb Kahan
Bhala Pahar Kahan, Janwar Gareeb Kahan!
Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal Zara
Ye Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara
Jo Mein Bari Nahin Teri Tarah To Kya Parwa
Nahin Hai Tu Bhi To Aakhir Meri Tarah Chotta
Her Aik Cheez Se Paida Khuda Ki Qudrat Hai
Koi Bara, Koi Chotta, Ye Uss Ki Hikmat Hai
Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss Ne
Mujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne
Qadam Uthane Ki Takat Nahin Zara Tujh Mein
Niri Barai Hai, Khubi Hai Aur Kya Tujh Mein
Jo Tu Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh Ko
Ye Chaliya Hi Zara Tor Ker Dikha Mujh Ko
Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane Mein
Koi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein
sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā maiñ bhī...
-
Wo to aaine ko bhi hairat mai daal deta hai Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai Naam ko bhi wafa jis ko yaad nahi W...
-
Manzil se Agaay barrh ker Manzil Talash Ker Manzeel Say Aagay Bardh Kar Manzeel Talaash Kar Meel J...