Kary safar mein agar rasta badalna tha
To ibteda mein mery sath hi nah chalna tha
Kuch is liy bhi to sooraj zameen pe utra hai
Pahareyon pe jami barf ko pighalna tha
Utar ke dil mein lahoo zehr kar gya akhir
Woh sanp jis ko meri aasteen mein palna tha
Yeh kya keh tohmaten atish fishan ke sar aaen
Zameen ko khud bhi khazana kabhi ugalna tha
Main laghzashon se atty raston pe chal nikla
Tujy ganwa ke mujy phir kahan sanbhalna tha
Ajab naseeb tha Muhsin keh baad marg mujy
Charagh ban ke khud apni lehd mein jalna tha
No comments:
Post a Comment