Tuesday 16 March 2021

Hum jugnu they


 Ham jugnoo thay, ham taray thay,
ham rang barangay panchhi thay,
kuch maah-o-saal ki jannat mein,
'Maan' ham dono bhi saanjhi thay,
mein choti si ik bachi thi,
teri ungli thaam k chalti thi,
tu door nazar se hoti thi,
mein aansu aansu roti thi,
ik khawbon ka roshan basta,
tu roz mujhe pehnati thi,
jab darti thi mein raton ko,
tu apnay sath sulati thi,
Maan! tu nay kitnay barson tak,
is phool ko seeencha hathon se,
jeevan k ghehray bhaidon ko,
mein samjhi teri baton se,
Mein teray haath k takiye per,
Ab bhi raat ko sota hun.

Maan main ik chota sa bacha
teri yad main ab bhi rota hoon

No comments:

Post a Comment

sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā maiñ bhī...