Tuesday 23 March 2021

Dr. Muhammad Allama Iqbal " dil soz sy khali hay"


 Dil Souz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin Hai

Phir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hay

 

Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein Pinhan
Ghafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hay

 

Who Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se Roshan
Purkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hay

 

 

Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon Ki
Un Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hay

Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri Khaak
Ya Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hay

 

Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai Meri
Mere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hay

 

Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki Miras
Momin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hay

No comments:

Post a Comment

sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā maiñ bhī...