Thursday 29 April 2021




sāmne us ke kabhī us satā.ish nahīñ

dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ

ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā

maiñ bhī ḳhāmosh rahā us ne bhī pursish nahīñ

jis qadar us se ta.alluq thā chalā jaatā hai

us kyā rañj ho jis kabhī ḳhvāhish nahīñ

ye bhī kyā kam hai ki donoñ bharam qaa.em hai

us ne baḳhshish nahīñ ham ne guzārish nahīñ

ik to ham ko adab ādāb ne pyāsā rakkhā

us pe mahfil meñ surāhī ne bhī gardish nahīñ

ham ki dukh oḌh ke ḳhalvat meñ paḌe rahte haiñ

ham ne bāzār meñ zaḳhmoñ numā.ish nahīñ

ai mire abr-e-karam dekh ye vīrāna-e-jāñ

kyā kisī dasht pe ne kabhī bārish nahīñ

kaT mare apne qabīle hifāzat ke liye

maqtal-e-shahr meñ Thahre rahe jumbish nahīñ

vo hameñ bhuul gayā ho to ajab kyā hai 'farāz'

ham ne bhī mel-mulāqāt koshish nahīñ

Friday 9 April 2021

Wo to aaine ko bhi hairat mai daal deta hai

 




  Wo to aaine ko bhi hairat mai daal deta hai

  Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai

 

  Naam ko bhi wafa jis ko yaad nahi

 Wo sab ko apni wafa ki misaal deta hai

 

 Or apna to taaluk us kabile se hai

 Jo Naiki kar ke dariya mai daal deta hai


Tuesday 23 March 2021

Dr Allama Muhammad Iqbal

                                         Manzil se Agaay barrh ker Manzil Talash Ker 



Manzeel Say Aagay Bardh Kar Manzeel Talaash Kar
Meel Jayae Tujh-ko Dariyaa To Samandar Talaash Kar

Haar Shisha Tut Jaata Hai Patthar Key Chot Say
Patthar Hi Tut Jaayae Woh Shisha Talaash Kar

Sajdon Say Te-ray Kya Huwa Sadiyaan Goozar Gayeen
Duniya Terei Badaal Day Woh Sajdaah Talaash Kar

Iemaan Tera Lout Gaya Reha-zan K Haathon Say
Iemaan Tera Bachaa Lay Woh Reha-bar Talaash Kar

Har Shaakhs Jal Rahaa Hai Adaa-waet Key Aag Mein
Us Aag Ko Bhujhaa Day Woh Paani Talaash Kar

Karay Sawaar Oonth Pay Apney Gulaam Ko
Pay-dal Hi Khud Chalay Jo Woh Aaqa Talaash Kar.

Hat Jay gunhon ka... ( Dr. Allama Muhammad Iqbal)


Mit jaaye gunaahon ka tasawur hi jahan se Iqbal,
Agar ho jaye yakeen ke ALLAH dekh raha hai.

Dil pak nhi tou pak ho nhi sakta insan

Verna ibliees ko bhi aatay thay vozu kay fraiz bahut

 

Sir jhukaney say namazin adda nhi hotie

Dil jhukana perta hay ibadut kay lieay

 

Iqbal nay toer di tasbi iss liay

Kya gin kay nam lon us kuda ka jo bay hisab dayta hay         

 

Koi ibadut ki chah main roya

Koi ibadut ki rah main roya

 

Ajeeb hay yay namaze-muhabat ka silsala Iqbal

Koi kaza ker kay roya koi ada ker kay roya


Dr. Muhammad Allama Iqbal " dil soz sy khali hay"


 Dil Souz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin Hai

Phir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hay

 

Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein Pinhan
Ghafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hay

 

Who Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se Roshan
Purkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hay

 

 

Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon Ki
Un Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hay

Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri Khaak
Ya Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hay

 

Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai Meri
Mere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hay

 

Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki Miras
Momin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hay

Thursday 18 March 2021

Bulleh noon samjavan... (Bulleh Shah)


 

Ulfat badl gai kbhi niyat badal gai


 Ulfat badal gayi, kabhi niyat badal gayi..
Khudgarz jab huye to fir, seerat badal gayi..!!
Apna kasoor dusron ke sar par daal kar..
Kuch log sochte hai, haqeeqat badal gayi..!!

Zubaan Ke Sakhat Magar Dil Ke Payare Hote Hain (muhammad Mukhtar Ali)


                                             Zubaan K Sakht Magar Dil K Payare Hote Hain
Zara Zara Se Munaafiq To Sary Hote Hain

Diyaar-e-Ishq Ka Ultaa Nizaam Chalta Hai
Yahaan K Saary Munaafy, Khasaary Hote Hain

Tum Apni Raaye Badalne Me Haq Ba-Janib Ho
Har Aadmi Ne Kayi Roop Dhaary Hote Hain

Unhi Ki Jeet Ka Ailaan Waqt Karta Hai
Muhabbaton Me Ba-Zahir Jo Hary Hote Hain

Zara Aasman Ki Bulandi Se Dekhiye To Sahi
Zameen Par Jalte Diye Bhi Sitaary Hote Hain...

kitna mushkil hai aziyat..(Akhtar Malik)


 Kitna Mushkil Hai Aziyat Ye Gawara Karna,

Dil Se Utre Hue Logon Mein Guzara Karna.!

Zindagi Hum Pe Ye Aasaan Bhi Ho Sakti Thi,
Seekh Lete Jo Kisi Dard Ka Chaara Karna.!

Kahaan Jaate Ho Abhi Saath Guzaaro Kuch Din,
Hum Pe Mushkil Koi Aaye To Kinara Karna.!

Kitna Mushkil Hai Jalana Kisi Raste Mein Charaagh,
Kitna Aasaan Hai Hawaaon Ko Ishaara Karna.!

Zindagi Hum To Chalo Maan Gaye Sah Bhi Gaye,
Aisa Bartaaw Kisi Se Na Dobaara Karna.!!

sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā maiñ bhī...